Start Your Transformation Today

Get personal guidance for weight loss, belly fat reduction and better nutrition. Real results with simple plans.

vector-img

COACH JAYRAJ

AM Wellness Center

Coach Jayraj | Fat Lose & Nutrition Expert

Weight Loss & Nutrition Expert

🌿 Natural Weight Loss — No side effects, just sustainable results.

🔥 Belly Fat Expert — Targeted nutrition and lifestyle plans for stubborn areas.

🕒 Busy Life Friendly — Simple, effective diets designed for demanding schedules.

🤝 Personal Coaching — A habit-based approach ensuring long-term success.

🌿 प्राकृतिक वजन घटाना — कोई साइड इफेक्ट नहीं, सिर्फ स्थायी परिणाम।

🔥 बेली फैट एक्सपर्ट — जिद्दी चर्बी के लिए सटीक पोषण और लाइफस्टाइल प्लान।

🕒 व्यस्त जीवन के अनुकूल — बिजी शेड्यूल के लिए सरल और प्रभावी डाइट।

🤝 व्यक्तिगत कोचिंग — लंबे समय की सफलता के लिए आदतों पर आधारित दृष्टिकोण।

vector-img

# Contact

vector-img

# Our Services

Belly Fat Loss Program

Description: Personalized plan to reduce stubborn belly fat with diet, habits and lifestyle coaching.

Weight Loss Coaching

Description: Step-by-step coaching to lose weight naturally without starving or extreme diets.

Custom Diet Plan

Description: Personalized diet plan based on your goals, routine and food preferences.

Online Consultation

Description: One-on-one guidance through call or chat for your fitness goals.

vector-img

# Testimonials

Maine 45 kg weight lose kiya, XXXL se L size tak aaya. Is journey me meri energy, confidence, digestion aur health improve hui. Ab main logon ko weight lose karne aur confidence wapas paane me help karta hoon.


JAYRAJ

Maine community ke support se 35 kg weight lose kiya aur life badal di. Pehle seedhiyan nahi chadh paati thi aur jaldi thak jaati thi, ab main active hoon. Energy, movement aur confidence improve hua hai.


Kamla

Maine sirf weight lose nahi kiya, puri life transform ki. Pehle low energy, dull skin aur constipation tha, jo community me aane ke baad reverse ho gaya. Aaj health, confidence aur lifestyle improve hai.


HIMANSHU

Maine community ke support se healthy tareeke se 18 kg weight gain kiya aur apni personality transform ki. Pehle body weak thi aur confidence low tha, ab strength, energy aur overall presence improve ho chuki hai.


Saif

Maine community ke support se weight lose ke saath PCOD reverse kiya. Pehle health issues the, lekin consistency aur support se results mile. Aaj health, energy aur confidence improve ho chuka hai.


PRACHI
vector-img

# Blog

Log Weight Loss Me Fail Kyu Hote Hain?

Bahut log weight loss start karte hain, lekin result nahi milta. Problem effort ki nahi, approach ki hoti hai.

1. Crash Diet Mentality
Log jaldi result ke chakkar me extreme diet karte hain. Kuch din baad body thak jaati hai aur sab wapas.

2. Consistency Nahi Hoti
2 din strict, 3 din break. Aise fat loss nahi hota.

3. Wrong Information
Internet pe itni conflicting advice hai ki log confuse ho jaate hain.

4. Sirf Exercise Pe Focus
Log sochte hain gym hi sab kuch hai, diet ignore kar dete hain.

5. No Guidance / System
Random try karte rehte hain, koi clear plan nahi hota.

6. Unrealistic Expectations
1 mahine me 10 kg chahte hain. Jab nahi hota, demotivate ho jaate hain.

Weight loss willpower ka game nahi, system ka game hai.

👉 Agar tumhe simple aur practical system chahiye jo kaam kare, to WhatsApp par connect karo.

India Me Health Problems Itni Fast Kyu Badh Rahi Hain?

Aaj kal har dusre insaan ko koi na koi health issue hai—weight gain, low energy, digestion problems, PCOD, stress. Sawal ye hai, aisa ho kyu raha hai?

1. Sedentary Lifestyle
Din bhar sitting—office, mobile, screen. Movement almost zero.

2. Processed Food Increase
Packet food, sugar drinks, junk—ye daily routine ka part ban chuka hai.

3. Poor Sleep Cycle
Late night scrolling, irregular sleep—body recover hi nahi kar paati.

4. Stress & Mental Pressure
Work pressure + life stress directly health ko hit karta hai.

5. Lack of Awareness
Log short-term taste choose karte hain, long-term health ignore karte hain.

6. No System / Guidance
Random diet aur YouTube tips follow karte hain, result nahi milta.

Health problems achanak nahi aati, daily habits ka result hoti hain.

👉 Agar tum apni health aur weight ko control me lana chahte ho, to sahi guidance lena zaroori hai. Connect karo.

Maine Apni Life Kaise Transform Ki (Meri Journey)

Ek time aisa tha jab meri life completely off track thi. Low energy, dull skin, digestion issues aur confidence almost zero tha. Weight bhi control me nahi tha aur har din thakan feel hoti thi.

Main bhi wahi galtiyan kar raha tha jo aaj zyada log karte hain—random diet, inconsistency aur clear system ki kami.

Phir maine apni lifestyle ko seriously lena start kiya. Dheere dheere habits change ki, nutrition samjha aur consistency build ki.

Result sirf weight loss nahi tha. Energy badhi, confidence wapas aaya, digestion improve hua aur overall life change ho gayi.

Aaj samajh aata hai ki problem effort ki nahi, direction ki hoti hai.

Agar direction sahi ho, to result aata hi hai.

👉 Agar tum bhi apni life aur body transform karna chahte ho, to sahi guidance lena zaroori hai. Connect karo.

Weight Loss Itna Mushkil Kyu Lagta Hai

Bahut log kehte hain weight loss mushkil hai. Sach ye hai ki mushkil nahi, confusing bana diya gaya hai.

1. Overcomplication
Log simple cheez ko complicated bana dete hain—har din naya diet, naya rule.

2. Motivation Par Depend
Jab tak motivation hai tab tak kaam, fir sab chhod dete hain.

3. All-or-Nothing Mindset
Ya to perfect diet ya kuch bhi nahi. Beech ka balance nahi.

4. Results Jaldi Chahiye
Slow progress ko log ignore kar dete hain, isi wajah se consistency toot jaati hai.

5. Lifestyle Change Nahi Karte
Temporary diet karte hain, permanent habits nahi banate.

Weight loss difficult nahi hai, discipline aur system ki kami hai.

👉 Agar tumhe simple aur practical approach chahiye jo long term kaam kare, to connect karo.

vector-img

# QR Code

Scan to Contact

Point your phone’s camera at the QR code to quickly add our contact information. You can also use the "Add to Contacts" button below for fast saving.

vector-img

# Inquiries